GHURNAA (A dream story)

story-GHURNAA

 hello friends mera naam amrita hai 

yeh kahani tab ki hai jab mai class 11th me thi . mujhe ghar me akeke rehne ka bahot shokh tha aur mujhe aandhere se bhi bahot dar lugtaa tha . mai akeli beti thi tho mummy papa jaha jaatey mujhe leke jaatey mai unse baar baar kehti mujhe ghar me akele rehne dho mujhe kahie nahi jaana tho mummy papa nahi maantey . ghar ke bagal me shamshaan tha . halaki mujhe bhooto se bahot dar lugtaa hai per unke bare me jaana bhi accha lugta hai. Raat me jab sab soo jatey tho mai apne phone mai spiritual facts , about ghost, what happen after death, and how to establish communication with ghost  jaisi chijo pe research karti aur jab phone rakhti dar lugtaa tho phir phone chalane lugti . aur har subha ish wajha se maa dathti thi. 

maa- yeh koy waqt hai jaagne ka suraj sar pe aagaya hai . bacchie subha uthtai hai nashtaa kartey hai yeh waqt tho lunch ka hai. jab dar lugta hai tho raat bhar bhooto ki tarha jaag kar bhooto ki khabar kyu leti hai.

papa- ohho aree sughndhaa faltu ke kaam tho nahi karti naa kuch sikhti hai bus.

maa- tho phir apki ladli darti kyu hai. kabhi phone dekha hai ishka apne sirf ss hai facts ke, aur khud ki photos ki jagha experimented death bodys ke download photos hai .

papa- accha nastaa nikalo ajj baap-beti sath me karie ge .

maa- apka tho lunch hai  apki ladki maharani ka nashtaaa.. hai.

itne me phone ke wajne ki awaaj aati hai 

maa- amrita dekh tho kiska call hai

me- maa mama ka hai , loh baat karo call utha lia hai maine .

maa- papa se amit suno humie jaldi nikalna hoga kolkata ke lie papa hospital me admit hai attack aaya hai rootey huie.

papa- thik hai lakin amrita ko lejana thik nahi hoga ,ishke finals hai. 

maa-beta thik se rehna ,khana kha ke jaldi so jana , koy bhi dikkat ho sab se phele humie call karna

me- hummm( dard bhari smile ke sath ). woh pheli baar tha jab mujhe akele rehne ka bilkul man nahi tha lakin mai nanu ko waise haatat me dekh nahi paati kyuki mei bahot pyar karti hu apne nani nana se .

itne  me woh mujhe kuch paise deke chale gay .

mera man bahot ghabraa raha tha aur duaaa bhi kar raha tha aur kahin naa kahin dar raha tha .

maine ushdin pure kamrey ki light off nahi ki .

tab tak phone awaj aaie ab tho manhus phone ko lene ka man nahi tha. maine dekha mama hai , maine socha maa nilki ki nahi yehi puchne ke lie call kar rahe hoge .

me- hello

mama- sughandha babu ji nahi raheeee

me- mama mai hu amrita

mama- sughandha ke pass kon sa no. hai maine bolaa 80 wala turant call kat gaya. 

maine phone rakha aur wahin khade khade rone lugi aur nanu ka chehra aakho ge aage ghum raha tha yhh pheli baar tha jab maine kisi apne ko khoya . mujhe lugta tha nanu samne se chale aarahe hai kyuki wishwass karna mushkil hogya tha . 

rootey rootey meri aakh lugi karib 10 waje . mere khyal se raat ke karib 1;30 meri aakh khul gai mujhe waqt ka bikul hawala nahi tha maine socha aunty ko bulaa lu bagal se tho dekha 1:30 waj raha tha phir bhi himmat kar ke bahar gai aunty ka ghar road ke ush taraf tha . aage badhi tho dekha ek truck ne bike wale ko thok dia hai  aur truck ushke uppar se le gaya hai , mai ushke pass gai tho dekha sarak se ghisraa ke ushka chehraa bikul darawna hogya hai chehrey ki skin hath gai hai aur cehraa pura darawna tha aur woh mujhse ghurr raha aur kuch kehna chah raha tha . mai bhagg ke ghar aaiie aur kamraa band kar ke aakhe moond lia jaise aakhe wapas dowara kholaa dekha wahi chehraa aage aagya aur phir ghurtey huie kuch kehna chah raha ho mai behoos hogai .phir aakh khulaa tho khud ko samsaan ek gadhe me paaya aur mere upper woh jo bhi tha mithi dhal raha tha aur mujhse kuch kehna chah raha tha aur mujhe gussay se ghor raha tha . ab mai puri mithi se dhak gai aur akbakaaa rahi thi .

itne me awaj aaie amritaa amritaa...., uth amritaaaaa ab maar kha jaie gi amritaaa uth ,maine aakh khola tho dekha samne maa khadi hai ,phir hairani se maine khud ko dekha aur khaprey jharee , maa ne pucha yeh kaya kar rahi maine maa ko gale lugaya aur 30min tak sab kuch bhul ke akele apne bad pe ush wakyaaa ko yead karne lugi ki aakhir woh tha kaya?

mei maa se puchne wali hi thi ki aap log kab aaie aur n.. ? tab tak maa ne bola sun tere lie khushkhabri hai sham ko nanu aarahe hai 

mai-na.. nanu..? ab mei samaj gai thi ki woh ek darawna sapna tha aur mujhe yeh baat maa ko bata thik bhi nahi luga.

ab raat dair tak nahi jaagti .

haftey beet gay ish baat ko per mai ush baat ko bhul nahi paa rahi mujhe ab bhi lugta hai  koy mujhe ghurtaa hai . 

story by

SRITIESTHA AMRITA SINHA

for poetry you can subscribe my yotube channel- SRITIESTHA AMRITA SINHA

instagram- itisritiestha_lines

                  THANKYOU TO GIVE YOUR TIME








Comments

Post a Comment