GHURNAA (A dream story)
story-GHURNAA hello friends mera naam amrita hai yeh kahani tab ki hai jab mai class 11th me thi . mujhe ghar me akele rehne ka bahot shokh tha aur mujhe aandhere se bhi bahot dar lugtaa tha . mai akeli beti thi tho mummy papa jaha jaatey mujhe leke jaatey mai unse baar baar kehti mujhe ghar me akele rehne dho mujhe kahie nahi jaana tho mummy papa nahi maantey . ghar ke bagal me shamshaan tha . halaki mujhe bhooto se bahot dar lugtaa hai per unke bare me jaana bhi accha lugta hai. Raat me jab sab soo jatey tho mai apne phone mai spiritual facts , about ghost, what happen after death, and how to establish communication with ghost jaisi chijo pe research karti aur jab phone rakhti dar lugtaa tho phir phone chalane lugti . aur har subha ish wajha se maa dathti thi. maa- yeh koy waqt hai jaagne ka suraj sar pe aagaya hai . bacchie subha uthtai hai nashtaa kartey hai yeh waqt tho lunch ka hai. jab dar lugta hai tho raat bhar bhooto ki tarha jaag kar bhooto ki khabar kyu leti hai. papa-